Alhamdulillah Rabb-il-Aalameen
Tere sofe hain Afrangi, tere qaleen hain Irani
Lahoo mujh ko rulati hai jawano ki tan-asani
Naujawan qaum ka qeemti sarmaya, muashre ka qeemti asaasa, mulk o millat ka mazboot sutoon,
aur mustaqbil ka memar hota hai.
Muashre mein naujawano ki qeemat kisi se posheeda nahi hai.
Naujawan hi amli aitbaar se muashre ke ahem afraad hote hain.
Mustaqbil ki umeedein inhi se wabasta hoti hain.
اقوام عالم ki nazar mein naujawano ko ahem maqam haasil hai.
Muashre mein naujawano ka sudhaar un ki tarbiyat az had laazim aur zaroori hai.
Agar naujawan tarbiyat yafta ho to dusron ki tarbiyat kar sakta hai.
Agar naujawan hi bigad jaye to muashre ke bigaad mein der nahi lagti.
Is liye is pur fitan daur mein naujawano ki islaah ki taraf khaas tawajjah ki zaroorat hai taake woh muashre ke liye nasoor na ban jayein.
Aaj muashre mein aise naujawan jo ghalat sohbat, ghalat majalis aur ghalat raah par chal kar apni zindagiyon ko kharab kar chuke hain un ki tadaad banisbat tarbiyat yafta naujawano ke bahut hi kam hai.
Aaj har ghar se walidain ki yahi sada aati hai ke.
Mera ladka nafarman hai, mera ladka nakara hai.
Aaj har naujawan ko behtareen libaas chahiye, behtareen mobile chahiye, mehngi gaadi chahiye,
Aaj ka naujawan apne walidain ka sahara aur un ka baazu banne ke bajaye apne walidain ki kamar todne mein laga hua hai.
Aaj ka naujawan manshiyat ka aadi hota ja raha hai,
Aaj ka naujawan walidain ka nafarman hota ja raha hai,
Aaj ka naujawan taleem se door hota ja raha hai,
Hona to yeh chahiye tha ke naujawan apni himmat, apni jiddojehad aur nazariyati soch se qaumon ki taqdeer badalte, taleem, hunarmandi, samaji islaah aur maashi taraqqi mein ahem kirdaar ada karte,
Muashre se jahalat, na insafi, berozgari ke khatme ki koshish karte.
Lekin... ...Waye nakami mata-e-karwan jata raha.
Haasil yeh ke. Naujawano ki sahih tarbiyat aur unhein ba ikhtiyar banana hi qaumon ke urooj ki zamanat hai.
Naujawano ki kirdar sazi, hubbul watani aur khidmat e khalq ka jazba hi unhein mulk o millat ka muhafiz banata hai.
Islam naujawano ko walidain ka khidmat guzar, muti o farmanbardar, un ki zarooriyaat ka khayal rakhne wala, un ki kisi tarah ki narazgi se bachne wala, un ke saath narmi o aajizi se pesh aane wala, naik o saleh o saadat mand farzand ki tarah dekhna chahta hai.
Allah Rabb-ul-Izzat naujawan nasal ki hifazat farmaye, unhein mulk o millat ka muhafiz, walidain ka farmanbardar aur ita'at guzar banane. Ameen
Uqabi rooh jab bedaar hoti hai jawano mein
Nazar aati hai un ko apni manzil aasmano mein
Azqalam ✍️
Muhammad Tanveer