Ramadan al-Mubarak Allah Ta'ala ki taraf se ata karda woh azeem ne'mat hai jis mein banda-e-momin ke liye hidayat, rehmat, maghfirat aur nijaat ke darwaze khol diye jate hain. Yehi woh mahina hai jis mein Quran-e-Majeed nazil hua, jis ne insaniyat ko andheron se nikal kar noor ki taraf rehnumai ata ki. Ramadan ki khasusiyat yeh hai ke is mein din ke waqt roza farz kiya gaya aur raaton ko qiyam ki azeem ibadat ata farmai gai, jise hum Namaz-e-Tarawih ke naam se jante hain.
Namaz-e-Tarawih darhaqiqat Qiyam-e-Ramadan hai, jis ki fazeelat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne nihayat wazeh andaz mein bayan farmai. Hadees-e-Mubaraka ke mutabiq jo shakhs iman aur sawab ki niyat se Ramadan ki raaton mein qiyam karta hai, Allah Ta'ala us ke sabika gunahon ko maaf farma deta hai. Yeh bisharat is baat ki daleel hai ke Tarawih mehaz ek izafi ibadat nahi balkeh Ramadan ki rooh aur maghfirat ka mu'assar zariya hai. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne khud is namaz ko ada farmaya aur Sahaba-e-Kiram Razi Allahu Anhum ne ise hamesha ehtemam ke saath zinda rakha. Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ke daur mein is namaz ka baqaida jamaat ke saath ehtemam kiya gaya, jo ummat ke ijma aur ta'amul se sabit hai.
Ramadan al-Mubarak teen ashron par mushtamil hai. Pehla ashra rehmat ka, doosra ashra maghfirat ka aur teesra ashra jahannam se nijaat ka paigham le kar aata hai. Ab jab hum Ramadan ke doosre ashre mein dakhil hone ja rahe hain to yeh marhala khas taur par ghaur o fikar, tauba o istighfar aur apni islah ka taqaza karta hai. Maghfirat ka mafhoom mehaz gunahon ki maafi nahi balkeh Allah Ta'ala ki woh khas inayat hai jis mein bande ke gunah mita diye jate hain, us ke aib chhupa diye jate hain aur ise saza se mehfooz kar liya jata hai. Quran-e-Majeed mein Allah Ta'ala ne gunahgar bandon ko mayoosi se bachate hue wazeh paigham diya hai ke Allah ki rehmat se naumeed na hon, kyunke woh tamam gunahon ko maaf farmane wala hai.
Ashra-e-Maghfirat mein sab se ziyada zor tauba aur istighfar par diya gaya hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam, jo masoom un al-khata the, din mein sattar martaba se ziyada istighfar farmaya karte the. Is se andaza kiya ja sakta hai ke hum jaise khatakar bandon ke liye istighfar ki kitni ziyada zaroorat hai. Yehi ashra hamein dawat deta hai ke hum apne gunahon ka aitraf karein, dil se nadamat mehsoos karein aur aainda zindagi ko durust karne ka pukhta azm karein.
Namaz-e-Tarawih is ashre mein khas ahmiyat rakhti hai, kyunke yeh woh ibadat hai jis mein banda Quran sunta hai, Allah ke samne khara hota hai aur is ka dil narm hota hai. Tarawih darasal maghfirat ki taraf jane wala ek amli rasta hai. Afsos ke aaj ke daur mein bohat se log susti, masroofiyat ya dunyawi mashagil ko tarjeeh de kar Tarawih ko nazar andaz kar dete hain. Halanke Hadees-e-Mubaraka mein sakht tanbeeh aai hai ke woh shakhs bara mahroom hai jis ne Ramadan paya magar maghfirat hasil na kar saka.
Ramadan ka doosra ashra hamein jhanjhor kar yeh ehsas dilata hai ke yeh mohlat hamesha ke liye nahi. Yeh raatein, yeh qiyam aur yeh mawaqe bar bar nahi aate. Na maloom agla Ramadan naseeb ho ya na ho. Is liye aqal o iman ka taqaza yehi hai ke hum is Ashra-e-Maghfirat ko ghaneemat samjhein, Namaz-e-Tarawih ki pabandi karein, istighfar ko apni zuban ka wird banayein, dilon ki safai karein aur Allah Ta'ala ki taraf sachi tauba ke saath ruju karein.
Agar hum ne is ashre mein Allah Ta'ala ki maghfirat hasil kar li to yehi kamyabi hamari aakhrat ki nijaat ka zariya ban sakti hai. Ramadan hamein yehi paigham deta hai ke banda agar khuloos ke saath Allah ki taraf palat aaye to us ke liye maghfirat, rehmat aur nijaat sab kuch mumkin hai.