Mohtaram Qarieen!!

Haqeeqat ke is pehlu se kisi ko inkaar nahi ke aqwaam-e-aalam ko urooj o zawaal pesh aata rehta hai, tareekh-e-Islam ne bhi taraqqi o tanzili ka daur dekha hai, albatta fil waqt ummat-e-Muslima ko jin mushkilaat ka saamna hai, ummat jin haalaat se do chaar hai, bain-ul-aqwaami satah par ummat jin kashidgiyon ka shikaar hai, is ka hal ba-zaahir door door tak kahin nazar nahi aaraha hai, chahaar jaanib yahi mashhoor hai ke Muslim qaum pasti ka shikaar hai aur roz afzoon is ka miyaar ghatta hi jaaraha hai, saamraaji taaqaton ne Musalmaanon ke taleemi, siyaasi aur iqtisaadi muaamlaat mein dakhal andaazi karke aalam-e-Islam ko kashmakash mein mubtala kar rakha hai un ka rawaiya yeh hai ke awwalan hamein zakhm dete hain aur saaniyan hamdardi ko aate hain.

        Aalam-e-Islam ko jin haalaat mein jakda gaya hai yeh koi aik ittefaaqi haadsa nahi hai, balke Sahiyoniyat o Saleebiyat ki aik sochi samjhi saazish hai jis ki buniyaad kai arsa pehle rakh di gayi thi, doosri jang azeem ke baad jab Islaami mumalik ka ittehaad paash paash hogaya aur woh mukhtalif watni, nasli aur lisaani iftiraqaat ki shikaar hokar intishaar mein mubtala hogaye to Porup o America ne aage badh kar in ki madad ki, inhen naam nihaad azaadi dilai is se un ka maqsad sirf yeh tha ke in ko qaabu mein laakar aalam-e-Islam ko tabaah o barbaad kardiya jaye, aur yeh nadaan samajhne lage ke yeh in ke hamnawa hain, tareekh shaahid hai ke Porupi aqwaam ne tarah tarah ki heela baaziyon ke zariya in ko na sirf apna zehni ghulaam banaya hai balke ba-zaahir yeh Islaami saltanat ke sarbarah kehlate hain lekin in ke shab o roz maghribi maqaasid ki takmeel mein sirf hote hain.

      In ki saazishon ka jaiza lene se maloom hota hai ke inhone Islaami buniyaadon ko kamzor karne ke liye teen jihat se apna shikaar banaya, awwalan nai nasal ke saamne Islaami taleemaat ko tod marod kar pesh kiya, asabiyat par mushtamil aise nisaab-e-taleem ki tarweej ki jis ke padhne wale zaahiran to Musalmaan rahe lekin Islaami roohaniyat se tehi daaman the, Socialism, Communism, Liberalism, Nationalism, Feminism jaise nazriyaat ko Islaami mauqif ke bilmuqaabil pesh karke aam kiya gaya, inhen yeh yaqeen dilaya gaya ke Islaami taleemaat taraqqi ki raah mein rukaawat hain, nateejatan aaj naujawano ki badi tadaad maghribi afkaar ke shikaar hai, saaniyan in ki buri nazar Musalmaanon ke maash par gayi ke maashi taur par inhen tarah tarah ke muaahidaat mein jakad ke aisa mafluj kardiya gaya ke asbaab ki frawaani ke bawajood yeh in ke dastkhat ke muntazir rehte hain, is tarah yeh Islaami tijaarat ko farogh dene se Islaami universities qaim karne se qaaser hain aur ghair shari tareeqe par muaamlaat karne par majboor hain, saalisan in ke siyaasi haalaat mein mudakhilat ki gayi Islaami mumalik ke maabain tanau paida kiya gaya, Kuwait, Qatar, Saudi, Iran, Oman jaise mumalik ko aapas mein aik doosre ka mudda-e-muqaabil banadiya gaya ke aik ko doosri ki qiyaadat manzoor nahi aur jin mulkon ne in ki khwahishaat ki takmeel se inkaar kiya wahan takhta palat kar diya gaya, reh jaati hai baat Hind o Pak ki to dono jagah Muslim qaum abhi tak apne mazhabi ikhtilaafaat se bahar hi nahi aapai hai ke deegar ahem umoor ki taraf tawajjah karpaye, nasal nau ki taleem o taraqqi ko maqsad banaye, apni khoi hui bartari ko haasil karsake.

Zaahir hai ke jab ummat androoni aur khaariji dono aitbaar se ikhtilaafaat ka shikaar ho to kis tarah yeh aik plate form pe jama hosakti hai, balke haqeeqat yeh hai ke ummat ne (Wa'tasimoo bihablillahi jamee'an wa laa tafarraqoo) ke paighaam ko faramosh kardiya hai, nateeja yeh ke ummat siyaasi, iqtisaadi, taleemi, tehzeebi o saqaafati; tamaam masail mein kashmakash ka shikaar hai, lekin koi mallaah nahi hai jo is kashti ko kinaare lagaye.